Garajte aandolan ka baan chahiye
Ya achchhe dinon ka sammaan chahiye
Bas boli lagaiye, aur geet le jaaiye.
Thanda andhera ya gumsum ujaala
Ramoo ki gaiyya ya Hamid ki khaala
Bas daam bataiye, aur geet le jaaiye.
Chhandon ke bandon ko kuch na fikar hai
Boliye kya likhna, hum kaafi nidar hain
Bas bohni karaiye, aur geet le jaaiye.
Thak chuka hoon main, meri maiyyaton se baar baar. Chauraasi mein mara Sampooran, do hazaar do mein Gulzar.
Chillane se naiyya bhanwar na taregi. Ki naaron se kinaaron ko dar sa laga hai. #EkBaarPhir
Kaahe yeh rela aur kyon yeh jaloos. Innko todne ko ek mutthi soch kaafi hai. #EkBaarPhir
Maseeha nahin hoon, na banna chaahta hoon. Saleeb ke bichhaune ko bas taiyyar rakha hai. #EkBaarPhir
