“Main raahon ke pathharon se takra kar aaya hoon,
Thokarein likhi thi kismat mein so khaa kar aaya hoon
Meri bardaash ki hadd ka tum kya lagaogi andaaza,
Main tumhare saamne bhi khada hoon aur khud ko jala kar aaya hoon”
“Wo silsile, wo shauq, wo nisbat nahi rahi,
Wo dil nahi raha, wo tabiyat nahi rahi
Mai dhoondh laaun bhi khud ko to maaloom hai,
Wo main nahi rahi, wo zidd nahi rahi”